Gori Tera Gaon Bada Pyara

Episode 1,   Jul 03, 2016, 10:37 AM

Gori Tera Gaon Bada Pyara

Main To Gaya Maara

Aake Yahan Re

Us Par Roop Tera Saada

Chandrama Jyu Aadha Aadha Jawan Re

Gori Tera Gaon

Ji Karta Hai Mor Ke

Paon Mein Payaliya Pehna Doon

Kuhu Kuhu Gaati Koyaliya Ko

Phoolon Ka Gehna Doon

Yahin Ghar Apna Banane Ko

Panchi Kare Dekho

Tinke Jama Re Tinke Jama Re

Gori Tera Gaon

Rang Birange Phool

Khile Hain Log Bhi Phoolon Jaise

Aa Jaye Ek Baar Yahan

Jo Jayega Phir Kaise

Jhar Jhar Jharte Hue Jharne

Man Ko Lage Harne

Aisa Kahan Re

Aisa Kahan Re

Gori Tera Gaon

Pardesi Anjaan Ko

Aise Koi Nahin Apnaata

Tum Logon Se Jud Gaya

Jaise Janam Janam Ka Naata

Apni Dhun Mein Magan

Dole Log Yahan Bole

Dil Ki Zuban Re

Dil Ke Zuban Re

Gori Tera Gaon Bada

Us Par Roop Tera Saada